uljhi aqidaton ke bayanat ham-safar jis rah bhi gae ye kharabaat ham-safar muskil-tarin khwahish-e-tahqiq ka safar pur-khar raston pe mukafat ham-safar dil ki tadap ke waste mahbub na-guzir rah-e-wafa mein gham ke kinayat ham-safar thi dar-ba-dar ye aql to us ki talash mein lekin qadam qadam pe khurafat ham-safar ek hum ki har padaw pe bechaargi ka sath ek wo ki har-qadam pe karamat ham-safar sath apne jalwa jalwa bhatakti hui nazar be-tabiyon mein shauq-e-mulaqat ham-safar