ek ishq-nagar se yahan ek shahr-e-hasin ka

ek ishq-nagar se yahan ek shahr-e-hasin ka
ek aasman se aur hua ek zamin ka

kafir hun ziyan ka jo main socha bhi kabhi ho
ek dagh hi kafi hai mujhe meri jabin ka

ek bar khirad le gai thi us ki gali mein
phir hosh gaya mera raha ho ke wahin ka

hakim ko faqat hukm lagane se gharaz hai
socha hi kahan us ne meri han ya nahin ka

hum log kisi taur safar kat hi lete
chhaalon ne magar panw ke rakkha na kahin ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close