ek ja harf-e-wafa likkha tha so bhi mit gaya zahiran kaghaz tere khat ka ghalat-bar-dar hai ji jale zauq-e-fana ki na-tamami par na kyun hum nahin jalte nafas har chand aatish-bar hai aag se pani mein bujhte waqt uthti hai sada har koi darmandagi mein nale se na-chaar hai hai wahi bad-masti-e-har-zarra ka khud uzr-khwah jis ke jalwe se zamin ta aasman sarshaar hai mujh se mat kah tu hamein kahta tha apni zindagi zindagi se bhi mera ji in dinon be-zar hai aankh ki taswir sar-name pe khinchi hai ki ta tujh pe khul jawe ki is ko hasrat-e-didar hai