surat-e-gul kabhi zulfon mein saja kar le jae jab bhi chahe wo mujhe apna bana kar le jae dil ko rakkha hai sar-e-rah-e-mohabbat kab se koi to aae idhar aur utha kar le jae raat-bhar jagta rahta hun main is khauf ke sath tujh ko mujh se na koi shakhs chura kar le jae jab bhi aati hai kisi aur se aandhi aksar mere aangan se tere naqsh utha kar le jae dawat-e-am hai us jaan ke dushman ko mujhe talkhiyan mazi ki is bar bhula kar le jae jab bhi tabir ka imkan nazar aata hai meri aankhon se koi khwab chura kar le jae main to is shakhs se kahta raha har bar 'nabil' mujh ko do bol mohabbat ke suna kar le jae