is tarah zist basar ki koi pursan na hua yun main duniya se utha dagh-e-azizan na hua mustaqil waza rahi kuchh gham-e-dauran na hua aandhiyon mein bhi ghubar apna pareshan na hua waza par harf na aai diya wahshat mein bhi lafz-o-mani ki tarah main kabhi uryan na hua war kya kya na sahe tegh hawadis ki magar aise bashshash rahe zakhm bhi giryan na hua bujh gaya dil ka kanwal dagh se jalte jalte gul kisi shab ye charagh-e-shab-e-hijran na hua samna aise balaon ka raha duniya mein malak-ul-maut bhi aae to hirasan na hua ediyan main ne ye ragdin ki gadhe dal diye gorkan ka bhi main sharminda-e-ehsan na hua misl-e-nai nala-kashi mein meri guzri guzre dil mein nasur to ye hai koi pursan na hua abru jati agar be-asar aansu bahte shukr angusht-numa panja-e-mizhgan na hua ulfat abru-e-sanam ki hui patthar ki lakir mahw-e-dil se khat-e-qismat kisi unwan na hua munharif kyun rukh-e-mahbub se hai ai waiz tu musalman hua qail-e-quran na hua dil se na-chiz zamane mein koi chiz nahin mol kya muft bhi jis ka koi khwahan na hua hum bhi to dekhte kis tarah nikalte gir kar chah-e-yusuf ye tera chah-e-zanakhdan na hua kapde phade se bhi nikle na hararat dil ki rishta-e-shama koi tar-e-gareban na hua nala karne ko bhi munh chahiye al-qais-e-hazin koi zangula-e-jammaza hudi-khwan na hua sufla-o-dun na kabhi raunaq-e-mahfil honge jugnu din se kabhi aalam mein charaghan na hua ai junun nikle na ek dagh se hasrat dil ki dagh mujh ko hai ki taus-e-gulistan na hua hae shangarf hai likkhe ki lab-e-lalin hai baat ye puchhte yaqut raqam-khan na hua koi ladka na dam-e-qaid hua daman-gir koi patthar mujhe sang-e-rah-e-zindan na hua ai junun kuchh na mila aabla-pai ka maza gokharo panw mein kyun khar-e-mughilan na hua kya faromaya badhega use himmat kya hai 'bahr' dariya ka kabhi chah mein tughyan na hua