gin ke deta hai bala-noshon ko paimana abhi waqai bilkul gadha hai pir-e-mai-khana abhi guftugu karte hain baham jam-o-paimana abhi qabil-e-tarmim hai aain-e-mai-khana abhi ho na kyun-kar wardat-e-qatl rozana abhi ku-e-qatil mein nahin chauki abhi thana abhi dekhte to hain wo har shai be-niyazana abhi ral girti hai magar be-ikhtiyarana abhi shaikh rahte hain sharik-e-bazm-e-rindana abhi muft milti hai to pi lete hain rozana abhi kya kahen kis se kahen apne numaindon ka haal jaise daka marta phirta hai sultana abhi kaise pahunchen us ke dar tak panw mein taqat nahin wo hai ludhiyana mein aur hai dur ludhiyana abhi us lab-e-jaan-bakhsh mein dekhi nahin jumbish hanuz wae nakaami muqaffal hai shifa-khana abhi bap ka saya to bachpan hi mein uttha tha magar shaikh milte hain ba-andaz-yatimana abhi us ke aage kya haqiqat aastin o jaib ki noch dale daman-e-mahshar bhi diwana abhi mel to shaikh o barhaman mein rahe baham magar gadbadae hai faza-e-firqa-warana abhi hum ne mana ye ki zahid hai buzurg-o-mohtaram baat karta hai magar kambakht bachkana abhi kar chuke hain naqd khidmat jabiran-e-qaum ki de chuke hain bech ke ghar-bar jurmana abhi dirham-o-dinar ke hamrah aksar besh-tar jaan ka bhi de chuke hain log nazrana abhi