ek kashti-kaghzi par ghaur-o-khauz hoga meri sadgi par ghaur-o-khauz aadamiyat ka nishan mitta gaya ho raha hai aadmi par ghaur-o-khauz jo mukhalif the mere karte hain wo aaj meri shairi par ghaur-o-khauz muflison se koi hamdardi nahin kis liye hai muflisi par ghaur-o-khauz kaun behtar hai ye unwan chhod kar kash hota behtari par ghaur-o-khauz aaiye karte hain be-jang-o-jadal bahami rassa-kashi par ghaur-o-khauz be-bason ka zehn tak mauf tha kaun karta bebasi par ghaur-o-khauz