hai safar mein karwan-e-bahr-o-bar kis ke liye ho raha hai ehtimam-e-khushk-o-tar kis ke liye kis ki khatir zaiqon ki sakhtiyon mein hain samar aur jhuk jati hai shakh-e-barwar kis ke liye kis ki khatir hain badalte mausamon ki barishen dil ghamin kis ke liye hai chashm tar kis ke liye rat-jagon mein gunjne wali sadaen kis ki hain hai hunar kis ke liye arz-e-hunar kis ke liye kis ne zakhm-e-na-rasi se bhar diye hain raste chaarasazi kis liye hai chaaragar kis ke liye la-makan mein kaun rahta hai makan mein kya nahin dasht hain kis ke liye diwar-o-dar kis ke liye kis ne rakkhi hain har ek manzar mein rangin saaten khalq farmae gae hain be-basar kis ke liye kaun sunta hai hawaon ki ajab sargoshiyan aur jati hain hawaen dar-ba-dar kis ke liye