ghamon ki dhup kadi dopahar se guzre hain tamam umr jhulasti dagar se guzre hain hamari palkon se tapke na kyun giran-khwabi faraaz-e-shab se tulu-e-sahar se guzre hain ajib baat hai ghar ka nishan nahin milta hazar bar unhi diwar-o-dar se guzre hain kabhi sukun hai kabhi iztirab ka aalam ajib kaifiyat-e-khair-o-shar se guzre hain bharosa kaun kare ab sada-e-sahra ka misal-e-gard isi rahguzar se guzre hain