ek khala, ek la-intiha aur main kitne tanha hain mera khuda aur main kitne nazdik aur kis qadar ajnabi!! mujh mein mujh sa koi dusra aur main log bhi so gae, rog bhi so gae jagte hain mera rat-jaga aur main raat aur raat mein gunjti ek baat ek khauf, ek munder, ek diya aur main shahr taraj hai, jabr ka raj hai phir bhi sabit hain meri ana aur main tere mausam, teri guftugu aur tu meri aankhon mein ek an-kaha, aur main ab to is jang ka faisla ho koi lad rahe hain azal se hawa aur main rang, khushbu, shafaq, chandni, shaeri likh raha tha main, us ne kaha aur main! us ki baat aur hai, warna ai 'iftikhar' us ko malum hai, iltija aur main