ek khwab ke mauhum nishan dhund raha tha main hadd-e-yaqin par bhi guman dhund raha tha sae ki tarah bhagte mahaul ke andar main apne khayalon ka jahan dhund raha tha jo raaz hai wo khul ke bhi ek raaz hi rah jae izhaar ko main aisi zaban dhund raha tha marham ki tamanna thi mujhe zakhm se bahar darman tha kahan aur kahan dhund raha tha shayad ki wo waqif nahin aadab-e-safar se pani mein jo qadmon ke nishan dhund raha tha kab tha use andaza 'sahar' sang-e-falak ka shishe ke makan mein jo aman dhund raha tha