mere sukun ki duniya mein iztirar nahin nahin nahin mujhe ab tera intizar nahin wo bewafai ke qail main jaan-nisari ka kisi ko apni tabiat pe ikhtiyar nahin samajh sake koi kya mere zarf-e-ali ko piye hain mai-kade lekin zara khumar nahin teri nigah se gir kar yaqin hua mujh ko jahan mein koi kisi ka bhi gham-gusar nahin mere khafif tabassum pe bhulne walo main kaamgar nahin hun main kaamgar nahin hain dil se tark-e-mohabbat ke mashware lekin tumhein bhula bhi sakunga ye e'tibar nahin muamle mein mohabbat ke bad-guman hun 'raj wo kya hain mujh ko khuda ka bhi e'tibar nahin