qayam-o-naql ajaib ke tarjuman to nahin amal har ek musalsal hai na-gahan to nahin ye markaze ki hararat kashish ka bais hai jo ho wo sard to phir ye zamin bhi man to nahin muhit chaaron-taraf se hai ek khala-e-basit zamin ye apni faqat zer-e-asman to nahin hawa udae unhen aur kahin bhi le jae ye tile ret ke pakki nishaniyan to nahin hawa ke pas amanat hain sab sada-o-aks abhi giraft se bahar hain par nihan to nahin