ek lafz aa gaya tha jo meri zaban par chhaya raha na jaane wo kis kis ke dhyan par mujh ko talash karte ho auron ke darmiyan hairan ho raha hun tumhaare guman par mahfil mein doston ki wahi naghma ban gaya shab-khun ka jo shor tha mere makan par be-shak zamin hanuz hai apne madar mein lekin dimagh us ka to hai aasman par shayad meri talash mein utri hai charkh se jo dhup pad rahi hai mere saeban par rahta hai be-niyaz jo aab o sarab se khulta hai raaz-e-dasht usi sarban par ehsas us ka jama-e-izhaar mange hai uftad aa padi hai ye 'arshad' ki jaan par