fikr soi hai sar-e-sham jaga di jae ek bujhti si angithi ko hawa di jae kisi jangal mein agar ho to bujha di jae kaise tan-man mein lagi aag daba di jae talkhi-e-zist ki shiddat ka taqaza hai yahi zehn o dil mein jo masafat hai ghata di jae tirgi shab ki basi jae hai hasti mein meri subh ko ja ke ye rudad suna di jae ishq walon ki fughan zabt-e-fughan hoti hai aashiq-e-waqt ko ye baat bata di jae khak-e-sahra to bahut dur hai ai wahshat-e-dil kyun na zehnon pe jami gard uda di jae wo haqiqat jo nigahon se ayan hoti hai kaise aadab ke parde mein chhupa di jae