palkon par lahraya tha jhonka pahli nidra ka lamhati kaifiyyat ka nashsha darta darta sa khush-raunaq si sochon ka sauda koi sar mein tha biti rut ka ek jhonka pila rang gulabon ka ujli ujli kirnon mein saya shokh sarabon ka naya naya sa ek imkan chaaron jaanib phaila tha ek gum-sum rudad mili jab bhi andar jhanka tha mausam ki pahchan liye manzar manzar raushan tha ubhra ubhra sa aalam dubi si aawazon ka dorahe ki sochon mein rasta sidha sidha sa shayad nai kahani mein qissa wahi purana tha teri yaad ki lazzat mein bhula sa ek wada tha nainon mein bhar lae hain manzar lakh sawabon ka