ek tamanna ki sahar se kahin kho jati hai shab ko aa kar mere aaghosh mein so jati hai ye nigahon ke andhere nahin chhatne pate subh ka zikr nahin subh to ho jati hai rishta-e-jaan ko sambhaale hun ki aksar teri yaad is mein do-chaar guhar aa ke piro jati hai dil ki taufiq se milta hai suragh-e-manzil aankh to sirf tamashon hi mein kho jati hai kab mujhe dawa-e-ismat hai magar yaad us ki jab bhi aa jati hai daman mera dho jati hai nakhuda chaara-e-tufan kare koi warna ab koi mauj safine ko dubo jati hai kar chuka jashn-e-bahaaran se main tauba 'haqqi' fasl-e-gul aa ke meri jaan ko ro jati hai