ek mahakte gulab jaisa hai khub-surat se khwab jaisa hai main use padhti hun mohabbat se us ka chehra kitab jaisa hai be-yaqini hi be-yaqini hai har samundar sarab jaisa hai main bhatakti hun kyun andheron mein wo agar aaftab jaisa hai dubti jae zist ki naw hijr lamha chanab jaisa hai main haqaeq bayan kar dungi ye gunah bhi sawab jaisa hai chain milta hai us se mil ke magar chain bhi iztirab jaisa hai ab 'shabana' mere liye wo shakhs ek bhule nisab jaisa hai