shab-e-visal thi raushan faza mein baitha tha main tere saya-e-lutf-o-ata mein baitha tha tamam umr use dhundne mein sarf hui jo chhup ke mere badan ki gupha mein baitha tha nai ruton ki hawa le udi libas us ka wo kal talak to harim-e-haya mein baitha tha darun-e-qafila aasar the baghawat ke ajab sa khauf dil-e-rahnuma mein baitha tha zara si baat ne auqat khol di us ki wo kab se band hisar-e-ana mein baitha tha nazar utha ke tum ai kash dekh hi lete main nazr-e-jaan liye rah-e-wafa mein baitha tha lahu se us ke mili din ko baqa-e-dawam wo qafila jo kabhi karbala mein baitha tha usi ne luti thi abla ki aabru kal raat sawere ban ke jo mukhiya sabha mein baitha tha bas ek shikast ne sare nashe utar diye wo tajdar alag si hawa mein baitha tha chalain goliyan jis par munafiqon ne 'shabab' saf-e-namaz mein yaad-e-khuda mein baitha tha