khushi ki saaten gham ki faza na ras aai ki zindagi ko koi bhi ada na ras aai jise talash kiya khud ko bhul kar hum ne usi jazire ki aab-o-hawa na ras aai parae ghar ke makinon se kya gila shikwa hamein to apne hi ghar ki faza na ras aai wahi hua ki tera hath tujh se mang liya mohabbaton ke safar mein ana na ras aai kai charagh hain raushan fasil-e-shab pe magar kai charaghon ko taza hawa na ras aai barahna karne lagi inqalab ki aandhi qaba-e-jah-o-hasham bhi zara na ras aai hujum-e-shahr mein har aadmi akela hai yahan kisi ko kisi ki wafa na ras aai wo qabr jaise makanon mein kaise zinda hain jinhen kushada gharon ki faza na ras aai