ek mahaul achhuta chahun sahn ke nam pe sahra chahun kaenaten mere khwabon ki asir aur qudrat se main kitna chahun tarbiyat meri zamin ne ki hai mein khalaon mein lapakna chahun jitne tarik gharaunde hain wahan dil ki qindil jalana chahun bakhshawane ko gunah-e-adam phir se firdaus mein jaana chahun dozakh insan pe ho jae haram rab se ye wada-e-farda chahun khushk patte na shajar se chhine bas ye ehsan hawa ka chahun meri zid kaun karega puri sham ko subh ka tara chahun mera har kaam alag duniya se jis ko chahun use tanha chahun hijr ki kitni tamazat hai 'nadim' ab kisi yaad ka saya chahun