ek main bhi hun kulah-daron ke bich 'mir' sahab ke parastaron ke bich raushni aadhi idhar aadhi udhar ek diya rakkha hai diwaron ke bich main akeli aankh tha kya dekhta aaina-khane the nazzaron ke bich hai yaqin mujh ko ki sayyare pe hun aadmi rahte hain sayyaron ke bich kha gaya insan ko aashob-e-maash aa gae hain shahr bazaron ke bich main faqir ibn-e-faqir ibn-e-faqir aur askandar hun sardaron ke bich apni virani ke gauhar rolta raqs mein hun aur bazaron ke bich koi us kafir ko us lamhe sune guftugu karta hai jab yaron ke bich ahl-e-dil ke darmiyan the 'mir' tum ab sukhan hai shoabada-karon ke bich aankh wale ko nazar aae 'alim' ek mohammad-mustafa saron ke bich