guzro na is tarah ki tamasha nahin hun main samjho ki ab hun aur dobara nahin hun main ek taba rang rang thi so nazr-e-gul hui ab ye ki apne sath bhi rahta nahin hun main tum ne bhi mere sath uthae hain dukh bahut khush hun ki rah-e-shauq mein tanha nahin hun main pichhe na bhag waqt ki ai na-shanas dhup sayon ke darmiyan hun saya nahin hun main jo kuchh bhi hun main apni hi surat mein hun 'alim' 'ghaalib' nahin hun 'mir'-o-'yagana' nahin hun main