jazba-e-dard-e-mohabbat ne agar sath diya baat ban jaegi qismat ne agar sath diya aap uthenge kab aaghosh-e-tamanna se meri zindagi ka shab-e-furqat ne agar sath diya sath degi na kabhi meri mohabbat mera aap ki chashm-e-inayat ne agar sath diya nahin malum ki anjam-e-mohabbat kya ho gham ka khud gham ki haqiqat ne agar sath diya kahin gumnam na ho jaen wafa mein meri meri ruswai ki shohrat ne agar sath diya bad-gumani mein mohabbat ka izafa hoga khud mera meri musibat ne agar sath diya chain se hogi basar apni judai mein 'shajia' un nigahon ki shararat ne agar sath diya