kash aisa ho ki wo hum ko manane aae ab bhi ulfat hai use hum se batane aae jo sunata tha sabhi wasl ke qisse hum ko ab wo ek hijr ka qissa bhi sunane aae bhar gae zakhm mere dil ke purane sare us se kah do ki nae zakhm lagane aae ho gae sard jo ye hijr ke mare jazbe aise jazbaat ko phir aag lagane aae hum bhi manenge ki wadon ka bada sachcha hai hum se ek wada kiya tha wo nibhane aae sath baithe hain ye ab hath mein saghar thame shaikh sahab the nasha hum se chhudane aae teri yaadon mein tha khoya ki meri aankh lagi mujh ko phir raat gae khwab suhane aae aaj ek sanp sar-e-rah guzarte dekha 'shan' kuchh dost mujhe yaad purane aae