ek muddat se sar-e-baam wo aaya bhi nahin hum ko ab hasrat-e-didar-e-tamanna bhi nahin jada-e-shauq mein tanha bhi hun tanha bhi nahin kya hasin baat hai ruswa bhi hun ruswa bhi nahin tum jo naraaz hue ho gai duniya barham ab to girti hui diwar ka saya bhi nahin kis ko main dut kahun kis ko main dushman jaanun sabhi apne hain yahan koi paraya bhi nahin aaj tak bhi main parastish to kiye jata hun ye alag baat ki main ne tumhein dekha bhi nahin subh ki shamen liye phirte ho kyun diwano rishta-e-shab to abhi khair se tuta bhi nahin to takhayyul ke dariche mein tha khoya khoya paikar-e-husn tujhe main ne jagaya bhi nahin kis tarah gham ko main taqsim karunga yaro qissa-e-dard ko haalat ne samjha bhi nahin kab talak chalna padega hamein tanha tanha ab kisi mod pe mil jaenge aisa bhi nahin ru-ba-ru un ke mere hont na khulne pae dil ko izhaar-e-tamanna ka sahaara bhi nahin jaane kya soch ke us ne mujhe diwana kaha hae us ko abhi mahfil pe bharosa bhi nahin rabte jodne nikla tha main insan ke 'khayal' kisi insan ne mujhe pyar se dekha bhi nahin