shiraaz ki mai marw ke yaqut sambhaale main koh-e-damawand se aa pahuncha himale howe to rahe shisha-o-ahan ki hukumat kansi ki meri tegh hai mitti ke pyale har shakhs ba-andaz-e-digar wasil-e-shak tha utha main teri bazm se iqan sambhaale ab ishq-e-nawardi hi thikane se lagae shoala na jalae mujhe girdab uchhaale hone ki khabar bhi na tera hijr-zada de bhar lewe kabhi aah kabhi shama jala le bose ka talazzuz ho kabhi tauf ki rahat arman mera ye dil-e-kafir bhi nikale ibham ke reshon se bana bagh-e-takhayyul ho jae kabhi chashm-e-tahayyur ke hawale