koshish hai gar uski ki pareshan karega

koshish hai gar us ki ki pareshan karega
wo dushman-e-jaan dard ko aasan karega

hum us ko jawabon se pasheman karenge
wo hum ko sawalon se pasheman karega

pahlu-tahi karte hue duzdida jo dekhe
chehre ke tassur se wo hairan karega

tu chhup ke hi aae ki bar-afganda-naqab aae
dil ki yahi aadat hai ki nuqsan karega

qazzaqon ki basti mein raha karte hain hum sab
har ghar ko koi dusra viran karega

har tis se ubhregi teri yaad ki khushbu
har zakhm mere shauq pe ehsan karega

'aslam' ye suna hai ki mera shahr-e-wafa bhi
takhrib ko sharminda-e-iqan karega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close