ek mujassam dard hun ek aah hun phir bhi zeb-o-zinat-e-afwah hun main ne duniya ki pasand odhi nahin kuchh bhi hun phir bhi to haq-agah hun sadd-e-lahm-o-ustukhwan hote hue har nafas ab bhi tere hamrah hun karb wahshat gham masail ke tufail aaj tak zinda ba-hamdillah hun mere naqsh-e-pa se nikle raste log phir bhi kahte hain gumrah hun parwarish pati hai jis se tirgi main wahi farzand-e-mehr-o-mah hun mai-kade ki rah se tujh ko pa liya log kahte hain ki main gumrah hun