zara socho to mere sath aisa kyun hua hai badan tuta hua tha para para kyun hua hai khud apni mauj se begana dariya kyun hua hai jo hona hi nahin tha aaj aisa kyun hua hai suron par aasman duba hua hai baadalon mein dukhon ki jhil ka pani bhi gahra kyun hua hai khudaya aajizi se main ne manga kya mila kya asar meri duaon ka ye ulta kyun hua hai ye kaisi raushni hai aur kin rahon se aai hai yakayak meri aankhon mein andhera kyun hua hai wahan ki aab-ju mein tel bahta hai barabar yahan wadi mein apni khushk dariya kyun hua hai kahan jaenge tujh ko chhod kar ai man bata de teri aaghosh mein dushwar jina kyun hua hai ye kis ne kar diya do lakht mujh ko aaj 'hamdam' kahan hun main mera saya akela kyun hua hai