karb wahshat uljhanen aur itni tanhai ki bas jaane kyun taqdir ne li aisi angdai ki bas jab kabhi bhule se bhi aaina dekha tere baad apni hi surat mein wo surat nazar aai ki bas todne jab bhi chala zindan-e-ab-o-gil ko main jaani-pahchani hui aawaz ek aai ki bas chilchilati dhup gham ki hadson ke saeban soch ka tapta ye sahra aur ye purwai ki bas kash na-bina hi rahta is muqar-khana mein tohfatan duniya ne di hai aisi binai ki bas nochti kab tak rahengi yun barahna khwahishen ta-ba-kai hoti rahegi aisi ruswai ki bas main hun ai 'hamdun' ek zinda giraftar-e-lahad apni hi taqdir se thokar wo hai khai ki bas