raushni wale to duniya dekhen hum andhere ke siwa kya dekhen apni qismat mein bhi kuchh hai ki nahin ab zara hath to phaila dekhen tu kabhi subh ka tara ban jae hum tujhe dur se tanha dekhen aag pani mein agar jang hui kis taraf aadmi hoga dekhen jaan se hath na dhoe jaen aur bahta hua dariya dekhen kis ke aangan ko ujala bakhshe 'ram' tuta hua tara dekhen