hukm-e-murshid pe hi ji uthna hai mar jaana hai ishq jis samt bhi le jae udhar jaana hai meri binai tere qurb ki marhun hai dost hath chhodwa ke bhala tujh se kidhar jaana hai us ki chhanw mein bhi thak kar nahin baitha jata tu ne jis ped ko phaldar shajar jaana hai hue khadshat ki pahchan nahin paya tujhe main samajhta tha ki tu ne bhi bichhad jaana hai ladkhadata hun to wo ro ke lipat jata hai main ne girna hai to us shakhs ne mar jaana hai khushk mashkiza liye khali palatna hai use aur dariyaon ka shiraaza bikhar jaana hai