ek nale mein sari raat gai ek hichki mein kaenat gai daulat-e-zist thi amanat-e-dost ek baat aai ek hat gai lutf dekha na kuchh jawani ka kya palak marte ye raat gai waqt-e-akhir bhi wo nahin aae hath malti hui hayat gai pas the tum maza tha jine ka tum gae lazzat-e-hayat gai pate hi dil ka bhed wo ruthe lab pe aai na thi ki baat gai kya mila dil ko be-nishan kar ke ek bekas ki kaenat gai nash-e-afsar nahin uthi ye 'sarosh' kisi nau-shah ki baraat gai