zindagi ho gai kis tarah basar yaad nahin roz-o-shab yaad nahin sham-o-sahar yaad nahin lut gaya kaise mohabbat mein ye ghar yaad nahin kaise barbaad hue qalb-o-jigar yaad nahin haal-e-zar apne dil-afgar ka kyon bhul gae khushk lab yaad nahin dida-e-tar yaad nahin zahid-e-khushk hue dete hain sab ko talim shaikh ko apna kabhi daman-e-tar yaad nahin un ki tanqid-nigahi pe hai dil ko hairat aib sab ginte hain aur ek hunar yaad nahin aaj pahlu mein pata dil ka nahin milta hai kaam kab kar gai duzdida nazar yaad nahin tiktiki chashm-e-tamanna ko dam-e-jalwa rahi kis ghadi tut gaya tar-e-nazar yaad nahin mujh se wada jo liya tum ne jo iqrar kiya mujh ko to yaad hai sab tum ko magar yaad nahin mil ke 'saqib' mujhe aara ke sukhan-sanjon se hui hasil wo khushi ranj-e-safar yaad nahin