kisi surat na chain aae to kya ho

kisi surat na chain aae to kya ho
tasalli aur tadpae to kya ho

adawat to adawat hai bahar-haal
mohabbat bhi na ras aae to kya ho

wo samjhaen dilasa den manaen
magar dil phir bhi ghabrae to kya ho

ye mana rok den hum chashm-e-tar ko
tabassum khun barsae to kya ho

zaban ko kat dalen hont si len
khamoshi aah ban jae to kya ho

wo samjhate rahen aur na-muradi
gale se badh ke lag jae to kya ho

maaz-allah khud ghar ke diye se
jo ghar mein aag lag jae to kya ho

kahan ki aag aur kaisa nasheman
jo bijli aap jal jae to kya ho

ye mana ishq ki kuchh had nahin hai
jab un se ishq sharmae to kya ho

masosen lakh hum sine mein dil ko
unhin ki aankh bhar aae to kya ho

thahoke de na yun ai chashm-e-saqi
jo paimana chhalak jae to kya ho

ba-sad-mushkil piya jae jo aansu
wo in palkon pe tharrae to kya ho

ye tanhai ye rona chupke chupke
koi aise mein aa jae to kya ho

hawa se un ke daman ki bujhe dil
saba se phul kumhlae to kya ho

tabassum un ka le len mere aansu
kiran ko os pi jae to kya ho

musibat ho to koi sabr kar le
khushi gham ban ke tadpae to kya ho

dil-e-hassas aur josh-e-mohabbat
habab aandhi se takrae to kya ho

wo pahlu mein 'sarosh' aur ye qayamat
jo wo pahlu se uth jae to kya ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close