koi hamdard nahin koi bhi dam-saz nahin ab to is bazm mein meri koi aawaz nahin naghma kaisa ki labon par bhi hai ek mohar-e-sukut dil ki dhadkan ke siwa ab koi aawaz nahin aur hi hoti hai ek saz-e-shikasta ki sada soz-e-gham jis mein na ho dil ki wo aawaz nahin mahw-e-parwaz hai us auj pe bhi mera khayal jis bulandi pe farishton ki tag-o-taz nahin khar ban jaana hai har phul mere hisse ka baghban ye meri qismat ka to eajaz nahin jab se badla hai tera tarz-e-sitam ai zalim dil-e-bismil ke tadapne ka wo andaz nahin karwaten lete hain naghmat-e-mohabbat is mein dil ki aawaz se behtar koi aawaz nahin phir gai milne se pahle wo nazar ai 'kashfi' ye wo anjam hai jis ka koi aaghaz nahin