ek pal bhi mere haal se ghafil nahin thahra kyun phir wo mere dard mein shamil nahin thahra haalat ke pale hue ifrit ke hathon sine mein kabhi sans kabhi dil nahin thahra har khwahish-e-jaan mar ke sab rahaten taj ke juz mere koi gham ke muqabil nahin thahra jis shakhs ko aata tha hunar nauhagari ka wo shakhs bhi ab ke lab-e-sahil nahin thahra kuchh is ke siwa aur bhi ilzam bahut the kab muntazir-e-khanjar-e-qatil nahin thahra