hue hain band dishaon ke sare raste aa andhera chhane laga laut kar parinde aa main teri sari tamazat ko jazb kar lunga tu aaftab kabhi mere dil mein bujhne aa kabhi dikha de wo manzar jo main ne dekhe nahin kabhi to nind mein ai khwab ke farishte aa yahan to kab se andheron mein gharq hai duniya idhar jo aa to sitaron ki shaal odhe aa na chupke chupke sulag ji ko apne halka kar tujhe ye kaun sa dukh hai kabhi batane aa bada sukun milega tujhe yahan aa kar jo ho sake to kabhi mere dil mein rahne aa dahakta shoala sa main ek dasht hun 'pashi' agar ghata hai tu sawan ki to barasne aa