panjon ke bal khade hue shab ki chatan par nakhun se ek kharash laga aasman par barson darun-e-sina sulagna hai phir hamein lagta hai qufl-e-habs hawa ke makan par ek dhad hai ki chaaron taraf se sunai de girdab-e-chashm ban gain aankhen machan par maujud bhi kahin na kahin iltawa mein hai jo hai nishan par wo nahin hai nishan par us mein kamal us ki khabar-saziyon ka hai khata hun main fareb jo sach ke guman par sarkash ko nisf umr ka ho lene dijiye bik jaega kisi na kisi ki dukan par