ek pal mein dam-e-guftar se lab-e-tar ho jae tujh se jo baat bhi kar le wo sukhan-war ho jae ab yahan sirf pari-chehra rahenge aa kar aur koi in ke alawa hai to bahar ho jae ho gaya rishta-e-jaan phir dil-e-nadan ke sath is sipahi ki tamanna hai ki lashkar ho jae ab ke thahrai hai hum ne bhi yahi shart-e-wafa jo bhi is shahr mein aae wo sitam-gar ho jae yani ai dida-e-tar teri inayat hai ki bas warna maidan-e-sukhan aaj hi banjar ho jae hum ne aashob ke aalam mein kahi hai ye ghazal so ye khwahish hai ki har sher gul-e-tar ho jae