ek pari ka phir mujhe shaida kiya ishq ne phir mufsida barpa kiya aaj phir us shokh ne fuqara kiya wada-e-imroz bhi farda kiya khun-e-nahaq ek musalman ka kiya kya ghazab o shokh-e-be-parwa kiya dil ko mail shoala-ruon ka kiya din-e-zardashti ko phir ahya kiya abr akasr us baras barsa kiya kya tatabbo dida-e-tar ka kiya kyun ajal kya tujh ko bhi maut aa gai is qadar aane mein kyun arsa kiya kan ki bijli jo yaad aai teri barq ke manind main tadpa kiya wo kaf-e-pa-e-hinai kar ke yaad hijr ki shab ediyan ragda kiya us ko bhi sakta hua dekh aaina der tak hairat se munh dekha kiya khak chhani muddaton tinke chune kya kahun is ishq mein kya kya kiya kal na paoge hamein kahiyo safir aaj aane mein agar hila kiya wan hue missi se lab un ke kabud pit kar munh hum ne yan nila kiya tab uthe hain un buton ke hum se naz jab kaleja apna patthar ka kiya hai girah mu-e-kamar ki naf-e-yar fikr ne apne ye uqda wa kiya lag paida kar ke ab jallad se jaan khoi hae dil ne kya kiya dand pe bandha hum ne joshan ki tarah harz-e-jaan qatil tera chhalla kiya mujh ko majnun kar diya manind-e-qais sehr kuchh aur ghairat-e-laila kiya marke mein ishq ke sarka na panw aabru ko jaan ko sadqa kiya soz-e-furqat ne shararat mujh se ki haizam-e-tar ki tarah sulga kiya ai shab-e-furqat na kar mujh par azab main ne tera munh nahin kala kiya zulf-e-jaanan jis ne dekhi ek bar dil se apne umr bhar uljha kiya is musibat se shab-e-furqat kati panw pite aah ki nala kiya ishq afshan-e-jabin-e-yar mein khak chhalni ki tarah chhana kiya tha munasib tark-e-ishq-e-yar 'rind' aap ne ansab kiya aula kiya