fikr-e-sud-o-ziyan mein rahta hun main bhi is khak-dan mein rahta hun nilgun aasman ke niche khema-e-jism-o-jaan mein rahta hun main hun aazad kab zamane mein qaid-e-wahm-o-guman mein rahta hun main mohabbat ki raushni ban kar waqt ki kahkashan mein rahta hun main bahaaron ke rang mein dhal kar manzar-e-bostan mein rahta hun jaane kya baat hai ki main tanha mahfil-e-dostan mein rahta hun apne budhe wajud ke andar ek shikasta makan mein rahta hun fikr-e-itlaf-e-zindagi kaisa main ajal ki aman mein rahta hun main bagulon ke darmiyan 'shahid' dasht-e-asr-e-rawan mein rahta hun