ek qadam khushki par hai aur dusra pani mein sari umr basar kar di hai naql-e-makani mein aansu bahte hain aur dil ye soch ke darta hai aankh kahin koi baat na kah de us se rawani mein rah mein sare charagh usi ke dam se raushan hain jo paiman hawa se bandha tha nadani mein sare sahil sare sagar us ki hain miras jis ke panw zamin par thahren bahte pani mein do jiwan taraj hue tab puri hui baat kaisa phul khila hai aur kaisi virani mein jab use dekho aankh aur dil ko sath mila lena ek aaina kam pad jaega hairani mein