subh-e-nushur kyun meri aankhon mein nur aa gaya teri naqab ulat gai ya koh-e-tur aa gaya wo bhi ajib waqt tha mujh pe hayat tang thi lekin usi azab mein jina zarur aa gaya tum ne to koh-qaf mein umr-e-aziz kat di lekin wo tifl kya kare jis ko shuur aa gaya is arsa-e-hijab ki aakhir ko had bhi hai kahin teri talash mein koi duniya se dur aa gaya duniya ko dekh dekh ke apni waza badal gai warna wo nur main hi tha jo sar-e-tur aa gaya zahid use bura na kah mana ki rang surkh hai aankhon se mai chhalak gai dil ko surur aa gaya