maujon ne hath de ke ubhaara kabhi kabhi paya hai dub kar bhi kinara kabhi kabhi karti hai tegh-e-yar ishaara kabhi kabhi hota hai imtihan hamara kabhi kabhi chamka hai ishq ka bhi sitara kabhi kabhi manga hai husn ne bhi sahaara kabhi kabhi talib ki shakl mein mili matlub ki jhalak dekha hai hum ne ye bhi nazara kabhi kabhi shokhi hai husn ki ye hai jazb-e-wafa ka sehr us ne hamein salam guzara kabhi kabhi fariyaad-e-gham rawa nahin dastur-e-ishq mein phir bhi liya hai us ka sahaara kabhi kabhi mushkil mein de saka na sahaara koi 'ratan' han dard ne diya hai sahaara kabhi kabhi