hai mashaqqat meri inam kisi aur ka hai kaam mera hai magar nam kisi aur ka hai dhup thi sath jo din bhar wo kisi aur ki thi kya dhundlaka bhi sar-e-sham kisi aur ka hai sar pe rahta hai hamesha hi kisi ka saya meri diwar pe ye baam kisi aur ka hai main to khud apne hi nashshe mein hun sarshaar bahut hath mein hai jo mere jam kisi aur ka hai jaane ye kaun dhadakta hai mere sine mein mere honton pe rawan nam kisi aur ka hai haif apne liye kuchh kar na saka mar kar bhi lash meri hai to kohram kisi aur ka hai mera har sans bhi khud mera nahin hai 'hamdam' ye badan aur ye ehram kisi aur ka hai