jo naqsh-e-barg-e-karam dal dal hai us ka to dasht aag ugalta jalal hai us ka dayar-e-dida-o-dil mein main sochta hun use ki is se aage tasawwur muhaal hai us ka adhuri baat hai zikr-e-muqim-e-shahr-e-junub har ek musafir-e-rah-e-shumal hai us ka badan ke dasht mein us ki hi gunj hai har su jawab us ke hain har ek sawal hai us ka usi ka hai ye bhara shahr dasht-e-khali bhi ye bhid us ki hai qaht-ur-rijal hai us ka main sochta hun ki taswir-e-khak ko meri hazar rang mein rangna kamal hai us ka wo aaina bhi 'hasan' us ke fan ka jadu hai ye chehra bhi hunar-e-la-zawal hai us ka