ek raat hum aise milen jab dhyan mein sae na hon

ek raat hum aise milen jab dhyan mein sae na hon
jismon ki rasm-o-rah mein ruhon ke sannate na hon

hum bhi bahut mushkil na hon tu bhi bahut aasan na ho
khwabon ki zanjiren na hon raazon ke virane na hon

ai kash aisa kar saken aankhon ko zinda kar saken
ye kya ki dil mein gard ho aankhon mein aaine na hon

hain tez duniya ke qadam shayad sajal chal paen hum
is beswa raftar mein yaadon se kyun rishte na hon

shauq-e-farawan se pare lazzat ke zindan se pare
us aag mein sulgen zara jis mein kabhi sulge na hon


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close