ek roz hue the kuchh ishaaraat khafi se aashiq hain hum us nargis-e-rana ke jabhi se karne ko hain dur aaj to tau ye rog hi ji se ab rakkhenge hum pyar na tum se na kisi se ahbab se rakhta hun kuchh ummid-e-sharafat rahte hain khafa mujh se bahut log isi se kahta hun use main to khususiyyat-e-pinhan kuchh tum ko shikayat hai kasi se to mujhi se ashaar nahin hain ye meri ruh ki hai pyas jari hue sar-chashme meri tishna-labi se aansu ko mere khel tamasha na samajhna kat jata hai patthar isi hire ki kani se yaad-e-lab-e-jaanan hai charagh-e-dil-e-ranjur raushan hai ye ghar aaj usi lal-e-yamani se aflak ki mehrab hai aai hui angdai be-kaif kuchh aafaq ki aaza-shikani se kuchh zer-e-lab alfaz khanakte hain faza mein gunji hui hai bazm teri kam-sukhani se aaj anjuman-e-ishq nahin anjuman-e-ishq kis darja kami bazm mein hai teri kami se is wadi-e-viran mein hai sar-chashma-e-dil bhi hasti meri sairab hai aankhon ki nami se khud mujh ko bhi ta-der khabar ho nahin pai aaj aai teri yaad is aahista-rawi se wo dhundhne nikli hai teri nikhat-e-gesu ek roz mila tha main nasim-e-sahari se sab kuchh wo dila de mujhe sab kuchh wo bana de ai dost nahin dur teri kam-nigahi se miad-e-dawam-o-abad ek nind hai us ki hum muntahi-e-jalwa-e-jaanan hain abhi se ek dil ke siwa pas hamare nahin kuchh bhi jo kaam ho le lete hain hum log isi se malum hua aur hai ek aalam-e-asrar aaina-e-hasti ki pareshan-nazari se is se to kahin baith rahe tod ke ab paon mil jae najat ishq ko is dar-ba-dari se rahta hun 'firaq' is liye warafta ki duniya kuchh hosh mein aa jae meri be-khabari se